Poet rahim poems in hindi
Poet rahim poems in hindi
Poems in hindi for children...
Jo Rahim Uttam Prakriti, Ka Kari Sakat Kusang,
chandan vish byape nahi, lipte rahat bhujang.
Arth: Rahim Kahte Hai Ki Jo Achhe Swabhaw Ke Manusya Hote Hai, Unko Buri Sangati Bhi Bigad Nahi Pati.
Jahrile Shaap Chandan Ke Vrichh Se Lipate Rahane Par V Us Par Koi Jaharila Prabhaw Nahi Dal Paate.
Rute Sujan Manaiye , Jo Ruthe Saw Baar,
Rahiman Phiri Phiri Poiye, Tute Mukta Haar.
Arth: Yadi Aapka Priya Saw Baar V Ruthe, To Bhi Ruthe Hue Priya Ko Manana Chahiye, Kyoki Yadi Motiyo Ka Maala Tute Jaye To Un Motiyo Ko Baar Baar Dhage Me Piro Lena Chahiye.
Jo Baden Ko Laghu Kahe, Nahi Rahiman Ghati Jahi,
Girdhar Murlidhar Kahe, Kachhu Dukh Manat Naahi.
Arth: Rahim Kahate Hai Ki Bade Ko Chhota Kahane Se Bade Ka Baddapan Nahi Ghadta, Kyoki Giridhar (Krrishn) Ko Murlidhar Kahne Se Unaki Mahima Me Kami Nahi Hoti.
Jaisi Pare Sahi Rahe, Kahi Rahinm Yah Deh,
Dharti Hi Par Parat Hai, Sit Gham Aur Meh.